taras rhe hai jane kab se,
yaar ke didar ko, waqt a baa gya,
ghunghat utha didar ker lu,
hone ko aadhi rat hai,
preet ki abhi-vyakti ki yah to abhi shuruwat hai,
yaar jara sabra rakh abhi to aadhi raat hai,
pyar ki anubhuti ki yah pahli mulakat hai,
yaar aa paas mere baki to aadhi raat hai,
prem ke sagar me ab prem-krida hum Karen,
jhijhak sari chhod den, pyar ki yah raat hai,
pyar me sab-kuch bhula varshon ki yah pyas hai,
o tan mila to kya mila, man ke Milan ki aas hai,
is pyar ke kaagaj ko ab teri kalam ki aas hai,
baat tu yun na ker dil ki jo pyas hai,
teevra hai ho rahi, sun ke teri baat hai,
preet ki abhi-vyakti ki yah to abhi shuruwat hai,
yaar jara sabra rakh abhi to aadhi raat hai,
jaan le hum apko, aap jane mujhe,
Milan ki yah raat hai, baaki na koi baat ho,
pyar ki anubhuti ki yah pahli mulakat hai,
yaar aa paas mere ,bas pyar ki ab baat ho,
dooriyan ab mita le, darmiyan hai, jo humare,
aaj hum-tum ek ho len saare bandhan tod daalen,
kyon tu aisa kah rha, aaj tu kya kar rha,
khud bhi tu tadap rha, mujhko bhi tadapa rha,
kya tujhko nahi ehsaas hai,
ye khaas kitni baat hai,
aaj apni suhagraat hai.
---------------
----------------
reply plz.
-------------
--------------